CSK Ka Paisa Barbaad? CSK Playing 11, Fans Ka Kya Hoga reaction?
Dekhte hai CSK Playing 11 is bar kya karname karti hai. CSK IPL ki sabse safal franchise rahi hai. CSK ne IPL ke 16 seasons me se 5 seasons me trophy uthane me safal rahe hai. Jisme CSK 12 bar playoff me kheli hai aor 10 bar finals kheli hai aor hame yah nhi bhulna chahiye ki CSK par ban ke karan bich me CSK 2 sal IPL tournament se bahar bhi rahi hai.

CSK ka fan base ipl ka sabse bada fan base hai agar aisa kaha jaye toh yah galat nhi hoga pichhli varsh ke ipl matcho me dekha gaya hai ki homeground kisi bhi team ka kyu na ho prr agar match CSK ke khilaf hai toh ground me sabse adhik fans CSK ke hi dikhte hai.
Ye deewangi dikhati hai ki janta apni team se kitna lagav rakhti hai, Iska karan kahi na kahi M.s Dhoni ko mana ja sakta hai suruat se lekar aaj tak CSk jin unchaiyo prr rahi hai waha usse khade karne me aor bhi players hai lekin dhoni aaj bhi team me maojud hai aor team ko rasta dikhane ka kam kar rahe hai.THALA FOR A REASON.
Csk ne iss sal bhi apni team me bahut se badalav kiye hai jaisa ki ham jante hai CSK naye talent ko nikharne ke liye jani jati hai hamne pahle bhi CSK se naye sitare ubharte hue dekhe hai. Matheesha Pathirana, Shivam Dube, Ruturaj Gaikwad unme se kuchh chamakte hue bade naam hai.

CSK Retained player
CSK ne pahle hi apne core team players ko retain kar liya tha unhe IPL Auction me bheja hi nhi.
- Ruturaj Gaikwad: The new captain, retained for ₹18 crore, ready to lead the team from the front.
- Shivam Dube: All-rounder, retained for ₹12 crore.
- Matheesha Pathirana: The young pacer, kept for ₹13 crore, promising firepower in bowling.
- Ravindra Jadeja: A game-changing all-rounder, also retained for ₹18 crore.
- MS Dhoni: The heartbeat of CSK, continuing as the team’s guiding force.
Read More Intresting Cricket: 13 saal ke crorepati cricketer ka kya hai vivad jane kon hai Vaibhav Suryavanshi. READ
CSK ke sare purchased players
Auction me CSK ne kuchh player ko badi rashi dekar apne pale me kiya hai aor woh player kuchh
- Noor Ahmad: Afghan left-arm spinner hai jinko CSK ne sabse jyada paise de kar khareeda hai ₹10 crore.
- Ravichandran Ashwin: Experienced spinner hai aor ye 10 sal bad ghar wapasi kar rahe hai ₹9.75 crore.
- Devon Conway: Top order ko strong rakhne ke liye Conway ko team me wapas liya gaya hai ₹6.25 crore.
- CSK ne kuchh aor khiladiyo prr bhi dav lagaya hai. Rachin Ravindra, Rahul Tripathi, Anshul Kamboj, Syed Khaleel Ahmed, Deepak Hooda, Jamie Overton, Vijay Shankar, Vansh Bedi, Andre Siddarth, Shreyas Gopal, Ramakrishna Ghosh, Kamlesh Nagarkoti, Mukesh Choudhary and Nathan Ellis ko bhi team me rakhha gaya hai.

CSK Playing 11
- Ruturaj Gaikwad (Captain)
- Devon Conway
- Rachin Ravindra
- Shivam Dube
- Rahul Tripathi
- Ravindra Jadeja
- MS Dhoni
- Ravichandran Ashwin
- Vijay Shankar
- Nathan Ellis
- Matheesha Pathirana
- Shreyas Gopal (IP)
- Noor Ahmad (IP)